LOVE.....Samjho to Ehsaas, Dekho to Rishta, Kaho to Lafz, Karlo to Ibaadat, Nibhao to Waade, Tut jaaye to Mukaddar, Par mil jaaye to JANNAT.
Uski nazar ko fursat na mili hogi
Warna mera Marz itna La-ilaaj na tha
Humne to wahan bhi MOHABBAT hi ki
Jahan MOHABBAT ka riwaaj na tha.
Nazron mein Aap hamare Mehman ban gaye
Baatein ki aisi ke hamari Muskaan ban gaye
Paas rehkar bhi log hamare na ban sake
Aap dur rehkar bhi hamari JAAN ban gaye.
Wednesday, 18 January 2012
Dil ki kitab mein Gulab unka tha
Raat ko neendon mein khwab unka tha
Kitna PYAAR karte ho pucha jab Humne unse
Mar jayenge tere bina ye jawab unka tha.
Humein apni MOHABBAT par itna to yakin hai ae Dost.......
Ki Woh humein thukra to sakti hai magar bhula nahi sakti.....